Noshi Gillani...( favourite list )
tohmatien to lagti hain
roshni ki khuwahish mien
ghar say bahir aanay ki kuch saza to milti hay
log log hotay hain
in ko kiya khabar jana'N
aap k iradon ki..khoobsorat ankhoon mien
basnay walay khuwabon k..
rang kaisey hotay hain?
dil k goud angan mien palnay wali batoon k
zakhm kaisay hotay hain?
kitney gehray hotay hain
kab yah soch saktay hain?
aisi beghunah aankhen..
ghar k konay khudroon mien..chhup k kitna roti hain
phir bhi ye kahani say
apni kuj'bayani say
is qadar ravani say,
dastaan sunatay hain
aur yaqeen ki aankhen
sach k ghumzadha dil say lag k ronay lagti hain
tohamatien to lagti hain
roshni ki khuwaish mien
tohamaton k lagnay say
dil say dost ko jana'N
ab nidhaal kiya karna
tohmaton say kiya darna??
Noshee gillani
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home